Thursday 4 December 2014

JADU KA ZIKR HADIS ME

Hazrat muhammad sallallahu  alaihi wasallam ka irshad hai: “hadees” “Muhlik baton say bacho, yani jado or shirk say” Jaadu ka asar bar-haq hay. Huzur sallallahu alaihi wawasallam per bhi jadu kia gaya or iska asar yahan tak hua k baaz auqat apko khayaal peda hota ka apne falah kaam kar lia hay laikin haqeeqat Emein nahi kia hota tha.
Apne Hazrat Aisha ) ko mukhatib kartay huay farmaya k mere pas khuwab ki haalat mein do admi aye or in mein say aik mere sarhanay beth gaya or doosra paun kay paas or aik nay doosray ko kaha kah is shaks ko kia beemari hay to doosray nay kaha is per jaadu kia gaya hay.
Pahlay nay kaha kissne kia hay to doosray nay kaha lubaid bin asam yahoodi nay.
Pahlay ne daryaft kia kis cheez kay zariye, to us nay kaha kanghi kay giraye hoay baalon, or nur khajorr gabaykay ziriye say.
Pahle nay sawaal kia jadu kahan hay to ussne kahaa zarwan k kunwaein mein jo bani zareek kay kabeelay mein hay.Is wakiya ke dikhai dene kay baad Ap sallallahu alaihi wasallam us kunway per tashreef lay gaye or wapes a ker Hazrat Aishah  k samnay istarah bayan farmaya k us kunway ka paani is kadar surkh tha goya keh is mei mehndi kay pattay bhigooay gaye hein or ird gird kay darakht kay puranay or bad soorat honay ki waja say darakht shetaon kay sar maloom hota thay. 
Ap sallahu alaihi wasallam) nay isko bahir nikala or Ap alaihissalaam  ko  Allah nay shifa bakhshi; iskay baad us kunway ko band kar dia gaya
Aap ke masail or
sawalat ho to email kare
Amelqadri@gmail.com
DUA O KA TALABGAAR
Amel Qadri

















No comments:

Post a Comment